Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai

Movie Kab Tak Chup Rahungi
Lyric By Indeevar
SingersLata Mangeshkar, Mohammed Aziz
Year 1988

Phool Se Chhin Ke Khushboo Tune
Dhul Mein Use Milaya
Apne Chahne Walo Pe Malik
Julm Ye Kaisa Dhaya


Gham Sahti Hai Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain
Gham Sahti Hai Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain
Chup Chup Rahna Sab Kuch Sahna
Iska Hi Naam To Nari Hain
Gham Sahti Hai Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain


Gehna Samjh Kar
Tune Pehan Li Kyu Zanzire
Gehna Samjh Kar
Tune Pehan Li Kyu Zanzire
Zanzire Kat Jaye Kar Aisi Takbire
Takbire Nahin Chalti Chalti Hain Takdire
Karam Likha Jo Humko Mila Wo
Ye Takdir Hamari Hain
Chup Chup Rahna Sab Kuch Sahna
Iska Hi Naam To Nari Hain
Gham Sahti Hain Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain


Phool Thi Wo Tu Jisne Kabhi
Gulshan Ko Mahkaya

Phool Thi Wo Tu Jisne Kabhi
Gulshan Ko Mahkaya
Sawan Mein Bhi Tujh Par Patjhad
Kyu Hai Chhaya
Phool Ki Khushboo Koi Kab Bandh
Ke Rakh Paya
Phool Kabhi Sukh Ke
Kante Kabhi Dukh Ke
Jeevan Wo Phoolwari Hain
Chup Chup Rahna Sab Kuch Sahna
Iska Hi Naam To Nari Hain
Gham Sahti Hain Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain


Kaise Dekh Sakenge
Teri Aankho Mein Shabnam
Kaise Dekh Sakenge
Teri Aankho Mein Shabnam
Tere Hisse Ke Malik
De De Hume Sab Gham
Dard Na Bante Koi Kya Tum Aur Hum
Tum Bahar Ke Masle Ye Ghar Ke
Socho Ye Bhul Tumhari Hain
Chup Chup Rahna Sab Kuch Sahna
Iska Hi Naam To Nari Hain
Gham Sahti Hai Chup Rahti Hain
Kaisi Ye Lachari Hain
Kaisi Ye Lachari Hain.

Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai Song Lyrics from movie Kab Tak Chup Rahungi. Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai song sung by Lata Mangeshkar, Mohammed Aziz. Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai Song Composed by . Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai Song Lyrics was Penned by Indeevar. Kab Tak Chup Rahungi movie cast in the lead role actor and actress. Kab Tak Chup Rahungi movie released on 1988

Gham Sahati Hai Chup Rahati Hai Song Lyrics - Kab Tak Chup Rahungi - Deeplyrics

Latest Songs

Latest Movies