Labo Se Choom Lo

Movie Aastha: In The Prison Of Spring
Lyric By Gulzar (Sampooran Singh Kalra)
SingersSriradha Bannerjee
Year 1997

Labo Se Choom Lo,
Aankho Se Tham Lo Mujhko
Labo Se Choom Lo,
Aankho Se Tham Lo Mujhko
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Labo Se Choom Lo,
Aankho Se Tham Lo Mujhko
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile


Do Saundhe Saundhe Se Jism Jis Waqt,
Ek Muthhi Me So Rahe The
Bata Toh Us Waqt Main Kaha Tha,
Bata Toh Us Waqt Tu Kaha Thi


Main Aarju Ki Tapish Mein
Pigal Rahi Thi Kahi
Main Aarju Ki Tapish Mein
Pigal Rahi Thi Kahi
Tumhare Jism Se Hokar
Nikal Rahi Thi Kahi
Bade Hasin The
Bade Hasin The
Jo Rah Mein Gunah Mile
Tumhi Se Janmu Toh

Shayad Mujhe Panah Mile
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Labo Se Choom Lo,
Aankho Se Tham Lo Mujhko


Tumhari Lau Ko Pakadke
Jalne Ki Aarju Mein
Jab Apne Hi Aap Se
Lipat Ke Sulag Raha Tha
Bata Toh Us
Waqt Main Kaha Tha,
Bata Toh Us Waqt Tu Kaha Thi


Tumhari Aankho Ke Hoo
Tumhari Aankho Ke
Sahil Se Door Door Kahi
Tumhari Aankho Ke
Sahil Se Door Door Kahi
Main Dhundati Thi Mile
Khushbuo Ka Noor Kahi
Wahin Ruki Hu
Wahin Ruki Hu Jahan Se
Tumhari Rah Mile
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Tumhi Se Janmu Toh
Shayad Mujhe Panah Mile
Labo Se Choom Lo,
Aankho Se Tham Lo Mujhko.

Labo Se Choom Lo Song Lyrics from movie Aastha: In The Prison Of Spring. Labo Se Choom Lo song sung by Sriradha Bannerjee. Labo Se Choom Lo Song Composed by . Labo Se Choom Lo Song Lyrics was Penned by Gulzar (Sampooran Singh Kalra). Aastha: In The Prison Of Spring movie cast in the lead role actor and actress. Aastha: In The Prison Of Spring movie released on 1997

Labo Se Choom Lo Song Lyrics - Aastha: In The Prison Of Spring - Deeplyrics

Latest Songs

Latest Movies